رمزِ زندگیRamz E Zindagi

بے تکلف بوسۂ زلف چلےپا لیجئے

Ghazal · Akbar Allahabadi · اکبر الہ آبادی · 7 sher · Roman Urdu ke saath

be-takalluf bosa-e-zulf-e-chalīpā lījiyenaqd-e-dil maujūd hai phir kyuuñ na saudā lījiye
dil to pahle le chuke ab jaan ke ḳhvāhāñ haiñ aapis meñ bhī mujh ko nahīñ inkār achchhā lījiye
paañv pakaḌ kar kahtī hai zanjīr-e-zindāñ meñ rahovahshat-e-dil kā hai iimā rāh-e-sahrā lījiye
ġhair ko to kar ke zid karte haiñ khāne meñ sharīkmujh se kahte haiñ agar kuchh bhuuk ho khā lījiye
ḳhush-numā chīzeñ haiñ bāzār-e-jahāñ meñ be-shumārek naqd-e-dil se yā-rab mol kyā kyā lījiye
kushta āḳhir ātish-e-furqat se honā hai mujheaur chande sūrat-e-sīmāb taḌpā lījiye
fasl-e-gul ke aate hī 'akbar' hue behosh aapkholiye āñkhoñ ko sāhab jām-e-sahbā lījiye