شہید عشق ہوئے قیس نامور کی طرح
Ghazal · Mir Anees · میر انیس · 9 sher · Roman Urdu ke saath
shahīd-e-ishq hue qais nāmvar kī tarahjahāñ meñ aib bhī ham ne kiye hunar kī tarah
kuchh aaj shaam se chehra hai faq sahar kī tarahDhalā hī jaatā huuñ furqat meñ dopahar kī tarah
siyāh-baḳhtoñ ko yuuñ baaġh se nikāl ai charḳhki chaar phuul to dāman meñ hoñ sipar kī tarah
tamām ḳhalq hai ḳhvāhān-e-ābrū ai rabchhupā mujhe sadaf-e-qabr meñ guhar kī tarah
tujhī ko dekhūñgā jab tak haiñ barqarār āñkheñmirī nazar na phiregī tirī nazar kī tarah
hamārī qabr pe kyā ehtiyāj-e-ambar-o-ūdsulag rahā hai har ik ustuḳhvāñ agar kī tarah
nahīf-o-zār haiñ kyā zor bāġhbāñ se chalejahāñ biThā diyā bas rah ga.e shajar kī tarah
tumhāre halqa-ba-goshoñ meñ ek ham bhī haiñpaḌā rahe ye suḳhan kaan meñ guhar kī tarah
'anīs' yuuñ huā hāl-e-javānī-o-pīribaḌhe the naḳhl kī sūrat gire samar kī tarah