رمزِ زندگیRamz E Zindagi

آپ کا اعتبار کون کرے

Ghazal · Dagh Dehlvi · داغؔ دہلوی · 10 sher · Roman Urdu ke saath

aap kā e'tibār kaun kareroz kā intizār kaun kare
zikr-e-mehr-o-vafā to ham kartepar tumheñ sharmsār kaun kare
ho jo us chashm-e-mast se be-ḳhudphir use hoshiyār kaun kare
tum to ho jaan ik zamāne kījaan tum par nisār kaun kare
āfat-e-rozgār jab tum hoshikva-e-rozgār kaun kare
apnī tasbīh rahne de zāhiddaana daana shumār kaun kare
hijr meñ zahr khā ke mar jā.ūñmaut kā intizār kaun kare
aañkh hai tark-e-zulf hai sayyāddekheñ dil kā shikār kaun kare
va.ada karte nahīñ ye kahte haiñtujh ko ummīd-vār kaun kare
'dāġh' kī shakl dekh kar boleaisī sūrat ko pyaar kaun kare