آپ کا اعتبار کون کرے
Ghazal · Dagh Dehlvi · داغؔ دہلوی · 10 sher · Roman Urdu ke saath
zikr-e-mehr-o-vafā to ham kartepar tumheñ sharmsār kaun kare
ho jo us chashm-e-mast se be-ḳhudphir use hoshiyār kaun kare
tum to ho jaan ik zamāne kījaan tum par nisār kaun kare
hijr meñ zahr khā ke mar jā.ūñmaut kā intizār kaun kare
aañkh hai tark-e-zulf hai sayyāddekheñ dil kā shikār kaun kare
va.ada karte nahīñ ye kahte haiñtujh ko ummīd-vār kaun kare
'dāġh' kī shakl dekh kar boleaisī sūrat ko pyaar kaun kare