کون سا طائر گم گشتہ اسے یاد آیا
Ghazal · Dagh Dehlvi · داغؔ دہلوی · 19 sher · Roman Urdu ke saath
kaun sā tā.ir-e-gum-gashta use yaad aayādekhtā bhāltā har shāḳh ko sayyād aayā
mere qaabū meñ na pahroñ dil-e-nāshād aayāvo mirā bhūlne vaalā jo mujhe yaad aayā
koī bhūlā huā andāz-e-sitam yaad aayāki tabassum tujhe zālim dam-e-be-dād aayā
laa.e haiñ log janāze kī tarah mahshar meñkis musībat se tirā kushta-e-bedād aayā
jazb-e-vahshat tire qurbān tirā kyā kahnākhiñch ke rag rag meñ mire nashtar-e-fassād aayā
us ke jalve ko ġharaz kaun-o-makāñ se kyā thādaad lene ke liye husn-e-ḳhudā-dād aayā
bastiyoñ se yahī āvāz chalī aatī haijo kiyā tū ne vo aage tire farhād aayā
dil-e-vīrāñ se raqīboñ ne murādeñ pā.īñkaam kis kis ke mirā ḳhirman-e-barbād aayā
ishq ke aate hī muñh par mire phūlī hai basantho gayā zard ye shāgird jab ustād aayā
ho gayā farz mujhe shauq kā daftar likhnājab mire haath koī ḳhāma-e-faulād aayā
iid hai qatl mirā ahl-e-tamāshā ke liyesab gale milne lage jab ki vo jallād aayā
chain karte haiñ vahāñ ranj uThāne vaalekaam uqbā meñ hamārā dil-e-nāshād aayā
dī shab-e-vasl mo.azzin ne azaañ pichhlī raathaa.e kam-baḳht ko kis vaqt ḳhudā yaad aayā
mere naale ne sunā.ī hai kharī kis kis komuñh farishtoñ pe ye gustāḳh ye āzād aayā
ġham-e-jāved ne dī mujh ko mubārakbādījab sunā ye ki unheñ sheva-e-bedād aayā
maiñ tamannā-e-shahādat kā mazā bhuul gayāaaj is shauq se armān se jallād aayā
shādiyāna jo diyā naala o shevan ne diyājab mulāqāt ko nāshād kī nāshād aayā
lījiye suniye ab afsāna-e-furqat mujh seaap ne yaad dilāyā to mujhe yaad aayā
aap kī bazm meñ sab kuchh hai magar 'dāġh' nahīñham ko vo ḳhāna-ḳharāb aaj bahut yaad aayā