رمزِ زندگیRamz E Zindagi

رنج کی جب گفتگو ہونے لگی

Ghazal · Dagh Dehlvi · داغؔ دہلوی · 8 sher · Roman Urdu ke saath

ranj kī jab guftugū hone lagīaap se tum tum se tū hone lagī
chāhiye paiġhām-bar donoñ taraflutf kyā jab dū-ba-dū hone lagī
merī rusvā.ī kī naubat aa ga.īun kī shohrat kū-ba-kū hone lagī
hai tirī tasvīr kitnī be-hijābhar kisī ke rū-ba-rū hone lagī
ġhair ke hote bhalā ai shām-e-vaslkyuuñ hamāre rū-ba-rū hone lagī
nā-ummīdī baḌh ga.ī hai is qadaraarzū kī aarzū hone lagī
ab ke mil kar dekhiye kyā rañg hophir hamārī justujū hone lagī
'dāġh' itrā.e hue phirte haiñ aajshāyad un kī aabrū hone lagī