رمزِ زندگیRamz E Zindagi

اچھی صورت پہ غضب ٹوٹ کے آنا دل کا

Ghazal · Dagh Dehlvi · داغؔ دہلوی · 14 sher · Roman Urdu ke saath

achchhī sūrat pe ġhazab TuuT ke aanā dil kāyaad aatā hai hameñ haa.e zamānā dil kā
tum bhī muñh chuum lo be-sāḳhta pyaar aa jaa.emaiñ sunā.ūñ jo kabhī dil se fasānā dil kā
nigah-e-yār ne kī ḳhāna-ḳharābī aisīna Thikānā hai jigar kā na Thikānā dil kā
puurī mehñdī bhī lagānī nahīñ aatī ab takkyūñkar aayā tujhe ġhairoñ se lagānā dil kā
ġhuncha-e-gul ko vo muTThī meñ liye aate themaiñ ne pūchhā to kiyā mujh se bahānā dil kā
in hasīnoñ kā laḌakpan hī rahe yā allāhhosh aatā hai to aatā hai satānā dil kā
de ḳhudā aur jagah siina o pahlū ke sivāki bure vaqt meñ ho jaa.e Thikānā dil kā
merī āġhosh se kyā hī vo taḌap kar nikleun kā jaanā thā ilāhī ki ye jaanā dil kā
nigah-e-sharm ko be-tāb kiyā kaam kiyārañg laayā tirī āñkhoñ meñ samānā dil kā
uñgliyāñ tār-e-garebāñ meñ ulajh jaatī haiñsaḳht dushvār hai hāthoñ se dabānā dil kā
huur kī shakl ho tum nuur ke putle ho tumaur is par tumheñ aatā hai jalānā dil kā
chhoḌ kar us ko tirī bazm se kyūñkar jā.ūñik janāze kā uThānā hai uThānā dil kā
be-dilī kā jo kahā haal to farmāte haiñkar liyā tū ne kahīñ aur Thikānā dil kā
ba.ad muddat ke ye ai 'dāġh' samajh meñ aayāvahī daanā hai kahā jis ne na maanā dil kā