کی وفا ہم سے تو غیر اس کو جفا کہتے ہیں
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 9 sher · Roman Urdu ke saath
kī vafā ham se to ġhair is ko jafā kahte haiñhotī aa.ī hai ki achchhoñ ko burā kahte haiñ
aaj ham apnī pareshāni-e-ḳhātir un sekahne jaate to haiñ par dekhiye kyā kahte haiñ
agle vaqtoñ ke haiñ ye log inheñ kuchh na kahojo mai o naġhma ko andoh-rubā kahte haiñ
dil meñ aa jaa.e hai hotī hai jo fursat ġhash seaur phir kaun se naale ko rasā kahte haiñ
hai par-e-sarhad-e-idrāk se apnā masjūdqible ko ahl-e-nazar qibla-numā kahte haiñ
pā-e-afgār pe jab se tujhe rahm aayā haiḳhār-e-rah ko tire ham mehr-e-giyā kahte haiñ
ik sharar dil meñ hai us se koī ghabrā.egā kyāaag matlūb hai ham ko jo havā kahte haiñ
dekhiye laatī hai us shoḳh kī naḳhvat kyā rañgus kī har baat pe ham nām-e-ḳhudā kahte haiñ
'vahshat' o 'sheftā' ab marsiya kahveñ shāyadmar gayā 'ġhālib'-e-āshufta-navā kahte haiñ