رمزِ زندگیRamz E Zindagi

کیا تنگ ہم ستم زدگاں کا جہان ہے

Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 9 sher · Roman Urdu ke saath

kyā tañg ham sitam-zadagāñ kā jahān haijis meñ ki ek baiza-e-mor āsmān hai
hai kā.enāt ko harakat tere zauq separtav se āftāb ke zarre meñ jaan hai
hālāñki hai ye sīli-e-ḳhārā se laala rañgġhāfil ko mere shīshe pe mai kā gumān hai
kī us ne garm sīna-e-ahl-e-havas meñ jāaave na kyuuñ pasand ki ThanDā makān hai
kyā ḳhuub tum ne ġhair ko bosa nahīñ diyābas chup raho hamāre bhī muñh meñ zabān hai
baiThā hai jo ki sāya-e-dīvār-e-yār meñfarmāñ-ravā-e-kishvar-e-hindūstān hai
hastī kā e'tibār bhī ġham ne miTā diyākis se kahūñ ki daaġh jigar kā nishān hai
hai baare e'timād-e-vafā-dārī is qadar'ġhālib' ham is meñ ḳhush haiñ ki nā-mehrbān hai
dehlī ke rahne vaalo 'asad' ko satāo matbe-chāra chand roz kā yaañ mehmān hai