مزے جہان کے اپنی نظر میں خاک نہیں
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 7 sher · Roman Urdu ke saath
maze jahān ke apnī nazar meñ ḳhaak nahīñsivā.e ḳhūn-e-jigar so jigar meñ ḳhaak nahīñ
magar ġhubār hue par havā uḌā le jaa.evagarna taab o tavāñ bāl-o-par meñ ḳhaak nahīñ
ye kis bahīsht-shamā.il kī aamad aamad haiki ġhair-e-jalva-e-gul rahguzar meñ ḳhaak nahīñ
bhalā use na sahī kuchh mujhī ko rahm aatāasar mire nafas-e-be-asar meñ ḳhaak nahīñ
ḳhayāl-e-jalva-e-gul se ḳharāb haiñ mai-kashsharāb-ḳhāne ke dīvār-o-dar meñ ḳhaak nahīñ
huā huuñ ishq kī ġhārat-garī se sharmindasivā.e hasrat-e-tāmīr ghar meñ ḳhaak nahīñ
hamāre sher haiñ ab sirf dil-lagī ke 'asad'khulā ki fā.eda arz-e-hunar meñ ḳhaak nahīñ