رمزِ زندگیRamz E Zindagi

نہ ہوئی گر مرے مرنے سے تسلی نہ سہی

Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 7 sher · Roman Urdu ke saath

na huī gar mire marne se tasallī na sahīimtihāñ aur bhī baaqī ho to ye bhī na sahī
ḳhaar ḳhār-e-alam-e-hasrat-e-dīdār to haishauq gul-chīn-e-gulistān-e-tasallī na sahī
mai-parastāñ ḳhum-e-mai muñh se lagā.e hī baneek din gar na huā bazm meñ saaqī na sahī
nafas-e-qais ki hai chashm-o-charāġh-e-sahrāgar nahīñ sham-e-siyah-ḳhāna-e-lailī na sahī
ek hañgāme pe mauqūf hai ghar kī raunaqnauha-e-ġham hī sahī naġhma-e-shādī na sahī
na satā.ish kī tamannā na sile kī parvāgar nahīñ haiñ mire ash.ār meñ ma.anī na sahī
ishrat-e-sohbat-e-ḳhūbāñ hī ġhanīmat samjhona huī 'ġhālib' agar umr-e-tābī.ī na sahī