نقش ناز بت طناز بہ آغوش رقیب
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 12 sher · Roman Urdu ke saath
naqsh-e-nāz-e-but-e-tannāz ba-āġhosh-e-raqībpā-e-tā.ūs pa.e-ḳhāma-e-mānī māñge
tū vo bad-ḳhū ki tahayyur ko tamāshā jaaneġham vo afsāna ki āshufta-bayānī māñge
vo tap-e-ishq-e-tamannā hai ki phir sūrat-e-sham.asho.ala tā-nabz-e-jigar resha-davānī māñge
tishna-e-ḳhūn-e-tamāshā jo vo paanī māñgeaa.ina ruḳhsat-e-andāz-e-ravānī māñge
rañg ne gul se dam-e-arz-e-pareshānī-e-bazmbarg-e-gul reza-e-mīnā kī nishānī māñge
zulf tahrīr-e-pareshān-e-taqāzā hai magarshāna-sāñ mū-ba-zabāñ ḳhāma-e-mānī māñge
āmad-e-ḳhat se na kar ḳhanda-e-shīrīñ ki mabādchashm-e-mor ā.īna-e-dil nigarānī māñge
huuñ giraftār-e-kamīñ-gāh-e-taġhāful ki jahāñḳhvāb sayyād se parvāz-e-girānī māñge
chashm parvāz o nafas ḳhufta magar zo.af-e-umīdshahpar-e-kāh pa.e-muzhda-risānī māñge
vahshat-e-shor-e-tamāshā hai ki juuñ nik.hat-e-gulnamak-e-zaḳhm-e-jigar bāl-fishānī māñge
gar mile hazrat-e-'bedil' kā ḳhat-e-lauh-e-mazār'asad' ā.īn-e-parvāz-e-ma.ānī māñge
rañg ne gul se dam-e-arz-e-pareshānī-e-bazmbarg-e-gul reza-e-mīnā kī nishānī māñge