وہ آ کے خواب میں تسکین اضطراب تو دے
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 6 sher · Roman Urdu ke saath
vo aa ke ḳhvāb meñ taskīn-e-iztirāb to devale mujhe tapish-e-dil majāl-e-ḳhvāb to de
kare hai qatl lagāvaT meñ terā ro denātirī tarah koī teġh-e-nigah ko aab to de
dikhā ke jumbish-e-lab hī tamām kar ham kona de jo bosa to muñh se kahīñ javāb to de
pilā de ok se saaqī jo ham se nafrat haipiyāla gar nahīñ detā na de sharāb to de
'asad' ḳhushī se mire haath paañv phuul ga.ekahā jo us ne zarā mere paañv daab to de
ye kaun kahve hai ābād kar hameñ lekinkabhī zamāna murād-e-dil-e-ḳharāb to de