رمزِ زندگیRamz E Zindagi

چاک کی خواہش اگر وحشت بہ عریانی کرے

Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 5 sher · Roman Urdu ke saath

chaak kī ḳhvāhish agar vahshat ba-uryānī karesub.h ke mānind zaḳhm-e-dil garebānī kare
jalve kā tere vo aalam hai ki gar kiije ḳhayāldīda-e-dil ko ziyārat-gāh-e-hairānī kare
hai shikastan se bhī dil naumīd yā rab kab talakābgīna koh par arz-e-girāñ-jānī kare
mai-kada gar chashm-e-mast-e-nāz se paave shikastmū-e-shīsha dīda-e-sāġhar kī mizhgānī kare
ḳhatt-e-āriz se likhā hai zulf ko ulfat ne ahdyak-qalam manzūr hai jo kuchh pareshānī kare