دہر میں نقش وفا وجہ تسلی نہ ہوا
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 9 sher · Roman Urdu ke saath
dahr meñ naqsh-e-vafā vaj.h-e-tasallī na huāhai ye vo lafz ki sharminda-e-ma.anī na huā
sabza-e-ḳhat se tirā kākul-e-sarkash na dabāye zamurrad bhī harīf-e-dam-e-af.ī na huā
maiñ ne chāhā thā ki andoh-e-vafā se chhūTūñvo sitamgar mire marne pe bhī raazī na huā
dil guzargāh-e-ḳhayāl-e-mai-o-sāġhar hī sahīgar nafas jāda-e-sar-manzil-e-taqvī na huā
huuñ tire va.ada na karne meñ bhī raazī ki kabhīgosh minnat-kash-e-gulbāñg-e-tasallī na huā
kis se mahrūmī-e-qismat kī shikāyat kiijeham ne chāhā thā ki mar jaa.eñ so vo bhī na huā
mar gayā sadma-e-yak-jumbish-e-lab se 'ġhālib'nā-tavānī se harīf-e-dam-e-īsī na huā
na huī ham se raqam hairat-e-ḳhatt-e-ruḳh-e-yārsafha-e.ā.ina jaulāñ-gah-e-tūtī na huā
vus.at-e-rahmat-e-haq dekh ki baḳhshā jaavemujh sā kāfir ki jo mamnūn-e-ma.āsī na huā