در خور قہر و غضب جب کوئی ہم سا نہ ہوا
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 9 sher · Roman Urdu ke saath
dar-ḳhur-e-qahr-o-ġhazab jab koī ham sā na huāphir ġhalat kyā hai ki ham sā koī paidā na huā
bandagī meñ bhī vo āzāda o ḳhud-bīñ haiñ ki hamulTe phir aa.e dar-e-ka.aba agar vā na huā
sab ko maqbūl hai da.avā tirī yaktā.ī kārū-ba-rū koī but-e-ā.ina-sīmā na huā
kam nahīñ nāzish-e-hamnāmi-e-chashm-e-ḳhūbāñterā bīmār burā kyā hai gar achchhā na huā
siine kā daaġh hai vo naala ki lab tak na gayāḳhaak kā rizq hai vo qatra ki dariyā na huā
naam kā mere hai jo dukh ki kisī ko na milākaam meñ mere hai jo fitna ki barpā na huā
har-bun-e-mū se dam-e-zikr na Tapke ḳhuuñ naabhamza kā qissa huā ishq kā charchā na huā
qatra meñ dajla dikhā.ī na de aur juzv meñ kulkhel laḌkoñ kā huā dīda-e-bīnā na huā
thī ḳhabar garm ki 'ġhālib' ke uḌeñge purzedekhne ham bhī ga.e the pa tamāshā na huā