درد منت کش دوا نہ ہوا
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 10 sher · Roman Urdu ke saath
dard minnat-kash-e-davā na huāmaiñ na achchhā huā burā na huā
jam.a karte ho kyuuñ raqīboñ koik tamāshā huā gila na huā
ham kahāñ qismat āzmāne jaa.eñtū hī jab ḳhanjar-āzmā na huā
kitne shīrīñ haiñ tere lab ki raqībgāliyāñ khā ke be-mazā na huā
hai ḳhabar garm un ke aane kīaaj hī ghar meñ boriyā na huā
kyā vo namrūd kī ḳhudā.ī thībandagī meñ mirā bhalā na huā
jaan dī dī huī usī kī thīhaq to yuuñ hai ki haq adā na huā
zaḳhm gar dab gayā lahū na thamākaam gar ruk gayā ravā na huā
rahzanī hai ki dil-sitānī haile ke dil dil-sitāñ ravāna huā
kuchh to paḌhiye ki log kahte haiñaaj 'ġhālib' ġhazal-sarā na huā