دیوانگی سے دوش پہ زنار بھی نہیں
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 10 sher · Roman Urdu ke saath
dīvāngī se dosh pe zunnār bhī nahīñya.anī hamāre jeb meñ ik taar bhī nahīñ
dil ko niyāz-e-hasrat-e-dīdār kar chukedekhā to ham meñ tāqat-e-dīdār bhī nahīñ
milnā tirā agar nahīñ āsāñ to sahl haidushvār to yahī hai ki dushvār bhī nahīñ
be-ishq umr kaT nahīñ saktī hai aur yaañtāqat ba-qadr-e-lazzat-e-āzār bhī nahīñ
shorīdgī ke haath se hai sar vabāl-e-doshsahrā meñ ai ḳhudā koī dīvār bhī nahīñ
gunjā.ish-e-adāvat-e-aġhyār yak tarafyaañ dil meñ zo.af se havas-e-yār bhī nahīñ
Dar nāla-hā-e-zār se mere ḳhudā ko maanāḳhir navā-e-murġh-e-giraftār bhī nahīñ
dil meñ hai yaar kī saf-e-mizhgāñ se rū-kashīhālāñki tāqat-e-ḳhalish-e-ḳhār bhī nahīñ
is sādgī pe kaun na mar jaa.e ai ḳhudālaḌte haiñ aur haath meñ talvār bhī nahīñ
dekhā 'asad' ko ḳhalvat-o-jalvat meñ bār-hādīvāna gar nahīñ hai to hushyār bhī nahīñ