رمزِ زندگیRamz E Zindagi

دل سے تری نگاہ جگر تک اتر گئی

Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 9 sher · Roman Urdu ke saath

dil se tirī nigāh jigar tak utar ga.īdonoñ ko ik adā meñ razā-mand kar ga.ī
shaq ho gayā hai siina ḳhushā lazzat-e-farāġhtaklīf-e-parda-dāri-e-zaḳhm-e-jigar ga.ī
vo bāda-e-shabāna kī sarmastiyāñ kahāñuThiye bas ab ki lazzat-e-ḳhvāb-e-sahar ga.ī
uḌtī phire hai ḳhaak mirī kū-e-yār meñbaare ab ai havā havas-e-bāl-o-par ga.ī
dekho to dil-farebi-e-andāz-e-naqsh-e-pāmauj-e-ḳhirām-e-yār bhī kyā gul katar ga.ī
har bul-havas ne husn-parastī shi.ār kīab ābrū-e-sheva-e-ahl-e-nazar ga.ī
nazzāre ne bhī kaam kiyā vaañ naqāb kāmastī se har nigah tire ruḳh par bikhar ga.ī
fardā o dī kā tafraqa yak baar miT gayākal tum ga.e ki ham pe qayāmat guzar ga.ī
maarā zamāne ne asadullāh ḳhaañ tumheñvo valvale kahāñ vo javānī kidhar ga.ī