ایک جا حرف وفا لکھا تھا سو بھی مٹ گیا
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 6 sher · Roman Urdu ke saath
ek jā harf-e-vafā likkhā thā so bhī miT gayāzāhiran kāġhaz tire ḳhat kā ġhalat-bar-dār hai
jī jale zauq-e-fanā kī nā-tamāmī par na kyuuñham nahīñ jalte nafas har chand ātish-bār hai
aag se paanī meñ bujhte vaqt uThtī hai sadāhar koī darmāndagī meñ naale se nā-chār hai
hai vahī bad-masti-e-har-zarra kā ḳhud uzr-ḳhvāhjis ke jalve se zamīñ tā āsmāñ sarshār hai
mujh se mat kah tū hameñ kahtā thā apnī zindagīzindagī se bhī mirā jī in dinoñ be-zār hai
aañkh kī tasvīr sar-nāme pe khīñchī hai ki tātujh pe khul jaave ki is ko hasrat-e-dīdār hai