رمزِ زندگیRamz E Zindagi

غیر لیں محفل میں بوسے جام کے

Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 7 sher · Roman Urdu ke saath

ġhair leñ mahfil meñ bose jaam keham raheñ yuuñ tishna-lab paiġhām ke
ḳhastagī kā tum se kyā shikva ki yehathkanDe haiñ charḳh-e-nīlī-fām ke
ḳhat likheñge garche matlab kuchh na hoham to āshiq haiñ tumhāre naam ke
raat pī zamzam pe mai aur sub.h-damdho.e dhabbe jāma-e-ehrām ke
dil ko āñkhoñ ne phañsāyā kyā magarye bhī halqe haiñ tumhāre daam ke
shaah ke hai ġhusl-e-sehhat kī ḳhabardekhiye kab din phireñ hammām ke
ishq ne 'ġhālib' nikammā kar diyāvarna ham bhī aadmī the kaam ke