ہر ایک بات پہ کہتے ہو تم کہ تو کیا ہے
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 10 sher · Roman Urdu ke saath
har ek baat pe kahte ho tum ki tū kyā haitumhīñ kaho ki ye andāz-e-guftugū kyā hai
na sho.ale meñ ye karishma na barq meñ ye adākoī batāo ki vo shoḳh-e-tund-ḳhū kyā hai
ye rashk hai ki vo hotā hai ham-suḳhan tum sevagarna ḳhauf-e-bad-āmozi-e-adū kyā hai
chipak rahā hai badan par lahū se pairāhanhamāre jaib ko ab hājat-e-rafū kyā hai
jalā hai jism jahāñ dil bhī jal gayā hogākuredte ho jo ab raakh justujū kyā hai
ragoñ meñ dauḌte phirne ke ham nahīñ qaa.iljab aañkh hī se na Tapkā to phir lahū kyā hai
vo chiiz jis ke liye ham ko ho bahisht aziizsivā.e bāda-e-gulfām-e-mushk-bū kyā hai
piyūñ sharāb agar ḳhum bhī dekh luuñ do-chārye shīsha o qadah o kuuza o subū kyā hai
rahī na tāqat-e-guftār aur agar ho bhīto kis umiid pe kahiye ki aarzū kyā hai
huā hai shah kā musāhib phire hai itrātāvagarna shahr meñ 'ġhālib' kī aabrū kyā hai