ہزاروں خواہشیں ایسی کہ ہر خواہش پہ دم نکلے
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 9 sher · Roman Urdu ke saath
hazāroñ ḳhvāhisheñ aisī ki har ḳhvāhish pe dam niklebahut nikle mire armān lekin phir bhī kam nikle
Dare kyuuñ merā qātil kyā rahegā us kī gardan parvo ḳhuuñ jo chashm-e-tar se umr bhar yuuñ dam-ba-dam nikle
nikalnā ḳhuld se aadam kā sunte aa.e haiñ lekinbahut be-ābrū ho kar tire kūche se ham nikle
bharam khul jaa.e zālim tere qāmat kī darāzī kāagar is turra-e-pur-pech-o-ḳham kā pech-o-ḳham nikle
magar likhvā.e koī us ko ḳhat to ham se likhvā.ehuī sub.h aur ghar se kaan par rakh kar qalam nikle
huī is daur meñ mansūb mujh se bāda-ashāmīphir aayā vo zamāna jo jahāñ meñ jām-e-jam nikle
huī jin se tavaqqo ḳhastagī kī daad paane kīvo ham se bhī ziyāda ḳhasta-e-teġh-e-sitam nikle
mohabbat meñ nahīñ hai farq jiine aur marne kāusī ko dekh kar jiite haiñ jis kāfir pe dam nikle
kahāñ mai-ḳhāne kā darvāza 'ġhālib' aur kahāñ vaa.izpar itnā jānte haiñ kal vo jaatā thā ki ham nikle