تھا جہاں مدرسہ شيري و شاہنشاہي
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 5 sher · Roman Urdu ke saath
Tha Jahan Madrasa-e-Sheri-o-ShehanshahiAaj Un Khanqahon Mein Hai Faqt Rubahi
Nazar Ayi Na Mujhe Qafla Salaron MeinWoh Shabani Ke Hai Tamheed-e-Kaleem-Ullahi
Lazzat-e-Naghma Kahan Murg-e-Khush Alhan Ke LiyeAah, Iss Bagh Mein Karta Hai Nafas Kotahi
Aik Sar Masti-o-Hairat Hai Sarapa TareekAik Sar Masti-o-Hairat Hai Tamam Agahi
Sifat-e-Barq Chamakta Hai Mera Fikr-e-BulandKe Bhatakte Na Phirain Zulmat-e-Shab Mein Raahi