اعجاز ہے کسی کا یا گردش زمانہ
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath
ejaaz hai kisī kā yā gardish-e-zamānaTuuTā hai asia meñ sehr-e-firañgiyāna
tāmīr-e-āshiyāñ se maiñ ne ye raaz paayāahl-e-navā ke haq meñ bijlī hai āshiyāna
ye bandagī ḳhudā.ī vo bandagī gadā.īyā banda-e-ḳhudā ban yā banda-e-zamāna
ġhāfil na ho ḳhudī se kar apnī pāsbānīshāyad kisī haram kā tū bhī hai āstāna
ai lā ilaah ke vāris baaqī nahīñ hai tujh meñguftār-e-dilbarāna kirdār-e-qāhirāna
terī nigāh se dil sīnoñ meñ kāñpte thekhoyā gayā hai terā jazb-e-qalañdarāna
rāz-e-haram se shāyad 'iqbāl' bā-ḳhabar haihaiñ is kī guftugū ke andāz mahramāna