رمزِ زندگیRamz E Zindagi

ہسپانيہ

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath

Haspania Tu Khoon-e-Musalman Ka Ameen HaiManind-e-Haram Pak Hai Tu Meri Nazar Mein.
Poshida Teri Khak Mein Sajdon Ke Nishan HainKhamosh Azanain Hain Teri Baad-e-Sehar Mein
Roshan Thin Sitaron Ki Tarah In Ki SananainKhaime The Kabhi Jin Ke Tere Koh-o-Qamar Mein
Phir Tere Haseenon Ko Zaroorat Hai Hina Ki?Baqi Hai Abhi Rang Mere Khoon-e-Jigar Mein !
Kyun Khs-o-Khashaak Se Dab Jaye MusalmanMana, Woh Tab-e-Taab Nahin Iss Ke Sharar Mein
Garnata Bhi Dekha Meri Ankhon Ne WalekinTaskeen-e-Musafir Na Safar Mein Na Hazr Mein
Dekha Bhi Dikhaya Bhi, Sunaya Bhi Suna BhiHai Dil Ki Tasalli Na Nazar Mein, Na Khabar Mein!