Ae Anfus-o-Afaq Mein Paida Tere AyaatHaq Ye Hai Ke Hai Zinda-o-Paenda Teri Zaat
Main Kaise Samajhta Ke Tu Hai Ya Ke Nahin HaiHar Dam Mutaghyyar The Khird Ke Nazariyat
Mehram Nahin Fitrat Ke Sarood-e-Azali SeBeenaye Kawakib Ho Ke Dana’ay Nabataat
Aj Ankh Ne Dekha To Woh Alam Huwa SabitMain Jis Ko Samajhta Tha Kalisa Ke Khurafat
Hum Band-e-Shab-o-Roz Mein Jakre Huwe BandeTu Khaliq-e-Aasaar-o-Nigarindah’ay Aanat !
Ek Baat Agar Mujh Ko Ijazat Ho To PuchunHal Kar Na Sake Jis Ko Hakeemon Ke Maqalat
Jab Tak Mein Jiya Khaima-e-Aflak Ke NeecheKante Ki Tarah Dil Mein Khatakti Rahi Ye Baat
Guftar Ke Asloob Pe Qaboo Nahin RehtaJab Rooh Ke Andar Mutaltum Hon Khayalat
Woh Kon Sa Adam Hai Ke Tu Jis Ka MaaboodWoh Adam-e-Khaki Ke Jo Hai Zair-e-Samawat?
Mashriq Ke Khudawand Saifedan-e-FarangiMaghrib Ke Khudawand Darakhshandah Filzaat
Yourap Mein Bohat Roshani-e-Ilm-o-Hunar HaiHaq Ye Hai Ke Be-Chashma’ay Haiwan Hai Ye Zulmat
Raanayi-e-Tameer Mein, Ronaq Mein, Safa MeinGirjon Se Kahin Barh Ke Hain Bankon Ki Amarat
Zahir Mein Tajarat Hai, Haqiqat Mein Juwa HaiSood Aik Ka Lakhon Ke Liye Marg-e-Mafajat
Ye Ilm, Ye Hikmat, Ye Tadabur, Ye HukumatPeete Hain Lahoo, Dete Hain Taleem-e-Masawat
Bekari-o-Uryani-o-Maikhawari-o-IflaasKya Kaam Hain Farangi Madniyat Ke Fatuhaat
Woh Qoum Ke Faizan-e-Samawi Se Ho MehroomHad Uss Ke Kamalaat Ki Hai Barq-o-Bukharaat
Hai Dil Ke Liye Mout Machinon Ki HukumatEhsas-e-Marawwat Ko Kuchal Dete Hain Aalaat
Asaar To Kuch Kuch Nazar Ate Hain Ke AkhirTadbeer Ko Taqdeer Ke Shatar Ne Kiya Maat
Maikhane Ki Bunyad Mein Aya Hai TazalzulBaithe Hain Issi Fikar Mein Peeran-e-Kharabat
Chehron Pe Jo Surkhi Nazar Ati Hai Sar-e-ShaamYa Ghazah Hai Ya Saghir-o-Meena Ki Karamat
Tu Qadir-o-Adil Hai Magar Tere Jahan MeinHain Talakh Bohat Banda’ay Mazdoor Ke Auqat
Kab Doobe Ga Sarmaya Prasti Ka Safina?Dunya Hai Teri Muntazir-e-Roz-e-Makafat !