فرشتوں کاگيت
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 13 sher · Roman Urdu ke saath
Aqal Hai Be Zamam Abhi, Ishq Hai Be Maqam AbhiNaqsh Gar-e-Azal! Tera Naqsh Hai Natamam Abhi
Khalq-e-Khuda Ki Ghaat Mein Rindon-o-Faqeeh-o-Meer-o-PeerTere Jahan Mein Hai Wohi Gardish-e-Subah-o-Sham Abhi
Tere Ameer Maal Mast, Tere Faqeer Haal MastBanda Hai Koocha Gard Abhi, Khawaja Buland Baam Abhi
Danish-e-Deen-o-Ilm-o-Fan Bandagi-e-Hawas TamamIshq-e-Garah Kushaye Ka Faiz Nahin Hai Aam Abhi
Johar-e-Zindagi Hai Ishq, Johar-e-Ishq Hai KhudiAah Ke Hai Ye Taegh-e-Taiz Pardagi-e-Nayam Abhi !
Utho! Meri Dunya Ke Ghareebo Ko Jaga DoKakh-e-Umra Ke Dar-o-Diwar Hila Do
Garmao Ghulamon Ka Lahoo Souz-e-Yaqeen SeKunjishik-e-Firomaya Ko Shaheen Se Lara Do
Sultani Jamhoor Ka Ata Hai ZamanaJo Naqsh-e-Kuhan Tum Ko Nazar Aye, Mita Do
Jis Khait Se Dehqan Ko Mayassar Nahin RoziUss Khait Ke Har Khausha-e-Gandum Ko Jala Do
Kyun Khaliq-o-Makhlooq Mein Hayal Rahain PardePeeran-e-Kalisa Ko Kalisa Se Utha Do
Haq Ra Ba-Sujoode, Sanamaan Ra Ba-TawafeBehter Hai Charagh-e-Haram-o-Dair Bujha Do
Main Na Khush-o-Bezar Hun Mar Mar Ki Silon SeMere Liye Mitti Ka Haram Aur Bana Do
Tehzeeb-e-Nawi Kargah-e-Shisha Garan HaiAdaab-e-Junoon Shayar-e-Mashriq Ko Sikha Do!