زمانہ
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 10 sher · Roman Urdu ke saath
جو تھا نہیں ہے ، جو ہے نہ ہو گا ، یہی ہے اک حرف محرمانہقریب تر ہے نمود جس کی ، اسی کا مشتاق ہے زمانہ
Jo Tha Nahin Hai, Jo Hai Na Ho Ga, Yehi Hai Ek Harf-e-MehrmanaQareeb Tar Hai Namood Jis Ki Ussi Ka Mushtaq Hai Zamana
Meri Soorahi Se Qatra Qatra Naye Hawadis Tapak Rahe HainMain Apni Tasbeeh-e-Roz-o-Shab Ka Shumar Karta Hon Dana Dana
Har Aik Se Ashna Hun, Lekin Juda Juda Rasme-o-Rah MeriKisi Ka Raakab, Kisi Ka Markab, Kisi Ko Ibrat Ka Taziyana
Na Tha Agar Tu Shareek-e-Mehfil, Qasoor Mera Hai Ya Ke TeraMera Tareeka Nahin Ke Rakh Loon Kisi Ki Khatar Mai’ay Shabana
Mere Kham-o-Paich Ko Najoomi Ki Ankh Pehchanti Nahin HaiHadaf Se Baigana Teer Uss Ka, Nazar Nahin Jis Ki Arfana
Shafaq Nahin Maghrabi Ufaq Par, Ye Jooye Khoon Hai, Ye Jooye Khoon Hai!Tulu-e-Farda Ka Muntazir Reh Ke Dosh-o-Amroz Hai Fasana
Woh Fikar-e-Ghustakh Ji Ne Uryaan Kiya Hai Fitrat Ki Taqaton KoUssi Ki Betab Bijliyon Se Khatr Mein Hai Uss Ka Ashiyana
Hawaen Un Ki, Fazaen Un Ki, Sumundar Un Ke, Jahaz Un KeGirah Bhanwar Ki Khule To Kyunkar, Bhanwar Hai Taqeer Ka Bahana
Jahan-e-Nau Ho Raha Hai Paida, Woh Alam-e-Peer Mar Raha HaiJise Farangi Muqamiron Ne Bana Diya Hai Qimar Khana
Hawa Hai Go Tund-o-Taiz Lekin Charagh Apna Jala Raha HaiWoh Mard-e-Darvesh Jis Ko Haq Ne Diye Hain Andaz-e-Khusarwana