فرشتے آدم کو جنت سے رخصت کرتے ہيں
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 5 sher · Roman Urdu ke saath
Atta Huwi Hai Tujhe Roz-o-Shab Ki BetabiKhabar Nahin Ke Tu Khaki Hai Ye Ke Seemabi
Suna Hai, Khak Se Teri Namood Hai, LekinTeri Sarisht Mein Hai Kokabi-o-Mehtabi
Jamal Apna Agar Khawab Mein Bhi Tu DekheHazar Hosh Se Khushtar Teri Shukar Khawabi
Garan Baha Hai Tera Girya-e-SehargahiIssi Se Hai Tere Nakhl-e-Kuhan Ki Shadabi
Teri Nawa Se Hai Be-Parda Zindagi Ka ZameerKe Tere Saaz Ki Fitrat Ne Ki Hai Mizrabi