Ek Raat Sitaron Se Kaha Najam-e-Sehar NeAdam Ko Bhi Dekha Hai Kisi Ne Kabhi Baidar?
Kehne Laga Mareekh, Ada Feham Hai TaqdeerHai Nind Hi Iss Chotte Se Fitne Ko Sazawar
Zahra Ne Kaha, Aur Koi Baat Nahin Kya?Iss Karmak-e-Shab-e-Kaur Se Kya Hum Ko Sarokar!
Bola Meh-e-Kamil Ke Woh Koukab Hai ZameeniTum Shab Ko Namoodar Ho, Woh Din Ko Namoodar
Waqif Ho Agar Lazzat-e-Baidari Shab SeUnchi Hai Surayya Se Bhi Ye Khak-e-Pur-Asrar
Aghosh Mein Iss Ki Woh Tajali Hai Ke Jis MeinKho Jaen Ge Aflak Ke Sub Sabit-o-Sayyar
Na-Gah Faza Bang-e-Azan Se Huwi Lab-RaizWoh Naara Ke Hil Jata Hai Jis Se Dil-e-Kuhsar!