رمزِ زندگیRamz E Zindagi

مسوليني

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath

Nudrat-e-Fikar-o-Amal Kya Shay Hai, Zauq-e-InqilabNudrat-e-Fikar-o-Amal Kya Shay Hai, Millat Ka Shabab
Nudrat-e-Fikar-o-Amal Se Maujazat-e-ZindagiNudrat-e-Fikar-o-Amal Se Sang-e-Khar-Ul-Amal Naab
Chashme-e-Peeran-e-Kuhan Mein Zindagaani Ka FaroughNaujawan Tere Hain Souz-e-Arzoo Se Sina Taab
Ye Mohabbat Ki Hararat, Ye Tamanna, Ye NamoodFasl-e-Gul Mein Phool Reh Sakte Nain Zair-e- Hijab
Naghma-e-Haye Shuaq Se Teri Faza Maamoor HaiZakhmawar Ka Muntazir Tha Teri Fitrat Ka Rubab
Faiz Ye Kis Ki Nazar Ka Hai, Karamat Kis Ki Hai?Who Ke Hai Jis Ki Nigah Misl-e-Shua-e-Aftab!