تصوير و مصور
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 8 sher · Roman Urdu ke saath
Kaha Tasveer Ne Tasweer Gar SeNumaish Hai Meri Tere Hunar Se
Wa Lekin Kis Qaddar Na-Munsafi HaiKe Tu Poshida Ho Meri Nazar Se!
Garan Hai Chasm-E-Bina Didah Wer ParJahan Beeni Se Kya Guzri Sharar Par!
Nazar Dard-o-Gham-o-Souz-o-Tab-o-TaabTu Ae Nadan, Qana’at Kar Khabar Par
Khabar, Aqal-o-Kirad Ki NatawaniNazar, Dil Ki Hayat Javedani
Nahin Hai Iss Zamane Ki Tag-o-TaazSazawar-e-Hadees-e-'Lan Tarani'
Tu Hai Mere Kamalat-e-Hunar SeNa Ho Naumeed Apne Naqsh Gar Se
Mere Didar Ki Hai Ek Yehi SharatKe Tu Pinhan Na Ho Apni Nazar Se