رمزِ زندگیRamz E Zindagi

مسعود مرحوم

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 21 sher · Roman Urdu ke saath

Ye Mehar-O-Mah, Ye Sitare Ye Asman-E-KuboodKise Khabar Ke Ye Alam Addam Hai Ya Ke Wujood
Khiyal-E-Jadah-O-Manzil Fasana-O-AfsounKe Zindagi Hai Sarapa Raheel-E-Be-Maqsood
Rahi Na Aah, Zamane Ke Hath Se BaqiVo Yaadgar-E-Kamalaat -E-Ahmad-O-Mehmood
Zawal-E-Ilm-O-Hunar Marg-E-Naaghan Uss KiWoh Karwan Ka Mataa-E-Garan Bha Masood !
Mujhe Rulati Hai Ahl-E-Jahan Ki BaydardiFaghan-E-Mugh-E-Sehar Khawan Ko Jante Hain Surood
Na Keh Ke Sabr Mein Pinhan Hai Chara’ay Gham-e-DostNa Keh Ke Sabr Mu’amaye Mout Ki Hai Kushood
"Dile Ke Ashiq Wa Sabir Bood Magar Sang AstZa Ishq Ta Ba Saboori Hazar Farsang Ast"
Na Mujh Se Pooch Ke Umer-E-Garaiz Pa Kiya HaiKise Khabar Ke Ye Neerang-O-Seemiya Kya Hai
Huwa Jo Khak Se Paida, Vo Khak Mein MastoorMagar Ye Ghaibat-E-Sughra Hai Ya Fana, Kya Hai !
Ghubar-E-Rah Ko Bakhsha Gya Hai Zauq-E-JamalKhirad Bata Nahin Sakti Ke Muddaa Kya Hai
Dil-O-Nazar Bhi Issi Aab-O-Gil Ke Hain IjazNahin To Hazrat-E-Insan Ki Intiha Kya Hai?
Jahan Ki Rooh-E-Rawan ‘LA ILAHA ILLA HOO’Masih-O-Meekh-O-Chalipa, Ye Majra Kya Hai !
Qasas Khoon-E-Tammana Ka Mangiye Kis SeGunahgar Hai Kon, Aur Khoon Baha Kya Hai
Ghameen Masho Ke Ba Band-E-Jahan GariftaremTalism Ha Shikand Aan Dile Ke Ma Darem
Khudi Hai Zinda To Hai Mout Ek Maqam-E-HayatKe Ishq Mout Se Karta Hai Imtihan-E-Sabaat
Khudi Hai Zinda To Darya Hai Be-Karana TeraTere Firaq Mein Muztir Hai Mouj-E-Neel-O-Firat
Khudi Hai Murda To Manind-E-Kah Paish-E-NaseemKhudi Hai Zinda To Sultan-E-Jumla Moujoodat
Nigah Aik Tajalli Se Hai Agar MehroomDou Sad Hazar Tajalli Talafi-E-Mafaat
Maqam Banda’ay Momin Ka Hai Wara’ay SipihrZameen Se Ta Ba Surreya Tamam Laat-O-Manaat
Hareem-E-Zaat Hai Iss Ka Nasheman-e-AbdiNa Tera Khak-E-Lehad Hai, Na Jalwagah-E-Sifaat
Khud Aa-Gahan Ke Azeen Khakdan Baron JastandTilism Mehar-O-Sipihr-O-Sitara Bashkastand