سر اکبر حيدري، صدر اعظم حيدر آباد دکن کے نام
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 4 sher · Roman Urdu ke saath
Tha Ye Allah Ka Farman K Shikwa-E-ParwaizDo Qalander Ko K Hain Iss Mein Mulukana Sifaat
Mujh Se Farmaya K Le, Aur Shehanshahi KarHusn-E-Tadbeer Se De Ani-O-Fani Ko Sibat
Mein To Iss Bar-E-Amanat Ko Uthata Sar-E-DoshKaam-E-Darvesh Mein Har Talakh Hai Manind-E-Nabat
Ghairat-E-Faqr Magar Kar Na Saki Iss Ko QaboolJab Kaha Uss Ne Ye Hai Meri Khudai Ki Zakaat !