رمزِ زندگیRamz E Zindagi

حضرت انسان

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 6 sher · Roman Urdu ke saath

Jahan Mein Danish-O-Beenish Ki Hai Kis Darja ArzaniKoi Shay Chup Nahin Sakti K Ye Alam Hai Noorani
Ye Duniya Dawat-E-Didar Hai Farzand-E-Adam KoKe Har Mastoor Ko Bakhsha Gya Hai Zauq-E-Uryani
Ye Farzand-E-Adam Hai K Jis Ke Askh-E-Khooni SeKiya Hai Hazrat-E-Yazdan Ne Daryaon Ko Toofani
Falak Ko Kya Khabar Ye Khaakdaan Kis Ka Nasheeman HaiGharz Anjum Se Hai Kis Ke Shabistan Ki Nighebani
Agar Maqsood-E-Kul Main Hun To Mujh Se Mawara Kya HaiMere Hungama Ha’ay Nau Ban Nau Ki Intiha Kya Hai?