رمزِ زندگیRamz E Zindagi

صدائے درد

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 9 sher · Roman Urdu ke saath

Jal Raha Hun Kal Nahin Parti Kisi Pehlu MujheHaan Dabo De Ae Muheet-e-Aab-e-Ganga Tu Mujhe
Sarzameen Apni Qayamat Ki Nafaq-Angaiz HaiWasl Kaisa, Yaan To Ek Qurb-e-Firaq Angaiz Hai
Badle Yak Rangi Ke Ye Nashnayi Hai GhazabAik Hi Khirman Ke Danon Mein Judai Hai Ghazab
Jis Ke Phoolon Mein Akhuwat Ki Hawa Ayi NahinUss Cchaman Mein Koi Lutf-e-Naghma Pairayi Nahin
Lazzat-e-Qurb-e-Haqiqi Par Mita Jata Hun MainIkhtilat-e-Mouja-o-Sahil Se Ghabrata Hun Main
Dana-e-Khirman Numa Hai Shayar-e-Maujiz ByanHo Na Khirman Hi To Iss Dane Ki Hasti Phir Kahan
Kaab Zuban Kholi Humari Lazzat-e-Guftar Ne!Phoonk Dala Jab Chaman Ko Aatish-e-Paikar Ne