Jal Raha Hun Kal Nahin Parti Kisi Pehlu MujheHaan Dabo De Ae Muheet-e-Aab-e-Ganga Tu Mujhe
Sarzameen Apni Qayamat Ki Nafaq-Angaiz HaiWasl Kaisa, Yaan To Ek Qurb-e-Firaq Angaiz Hai
Badle Yak Rangi Ke Ye Nashnayi Hai GhazabAik Hi Khirman Ke Danon Mein Judai Hai Ghazab
Jis Ke Phoolon Mein Akhuwat Ki Hawa Ayi NahinUss Cchaman Mein Koi Lutf-e-Naghma Pairayi Nahin
Lazzat-e-Qurb-e-Haqiqi Par Mita Jata Hun MainIkhtilat-e-Mouja-o-Sahil Se Ghabrata Hun Main
Dana-e-Khirman Numa Hai Shayar-e-Maujiz ByanHo Na Khirman Hi To Iss Dane Ki Hasti Phir Kahan
Husn Ho Kya Khudnuma Jab Koi Maeel Hi Na HoShama Ko Jalne Se Kya Matlab Jo Mehfil Hi Na Ho
Zauq-e-Goyai Khamoshi Se Badalta Kyun NahinMere Aaeene Se Ye Johar Nikalta Kyun Nahin
Kaab Zuban Kholi Humari Lazzat-e-Guftar Ne!Phoonk Dala Jab Chaman Ko Aatish-e-Paikar Ne