رمزِ زندگیRamz E Zindagi

لا پھر اک بار وہی بادہ و جام اے ساقی

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath

lā phir ik baar vahī baada o jaam ai saaqīhaath aa jaa.e mujhe merā maqām ai saaqī
tiin sau saal se haiñ hind ke mai-ḳhāne bandab munāsib hai tirā faiz ho aam ai saaqī
merī mīnā-e-ġhazal meñ thī zarā sī baaqīsheḳh kahtā hai ki hai ye bhī harām ai saaqī
sher mardoñ se huā besha-e-tehqīq tahīrah ga.e suufī o mullā ke ġhulām ai saaqī
ishq kī teġh-e-jigar-dār uḌā lī kis neilm ke haath meñ ḳhālī hai niyām ai saaqī
siina raushan ho to hai soz-e-suḳhan ain-e-hayātho na raushan to suḳhan marg-e-davām ai saaqī
tū mirī raat ko mahtāb se mahrūm na rakhtire paimāne meñ hai māh-e-tamām ai saaqī