رمزِ زندگیRamz E Zindagi

دل

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 9 sher · Roman Urdu ke saath

Qissa-e-Dar-o-Rasan Bazi-e-Tiflana-e-DilIltijaye ‘Arini’ Surkhi-e-Afsana Dil
Ya Rab Iss Saghir-e-Labraiz Ki Mai Kya Ho GiJadah-e-Mulk-e-Baqa Hai Khat-e-Pemane-e-Dil
Abar-e-Rehmat Tha Ke Thi Ishq Ki Bijli Ta Rab!Jal Gyi Mazraa-e-Hasti To Uga Dana-e-Dil
Arsh Ka Hai Kabhi Kaabe Ka Hai Dhoka Iss ParKis Ki Manzil Hai Elahi! Mera Kashana-e-Dil
Tu Samajta Nahin Ae Zahid-e-Nadan Iss KoRashk-e-Sad Sajda Hai Ek Laghzish-e-Mastana-e-Dil
Khak Ke Dhair Ko Ikseer Bana Deti HaiWoh Asar Rakhti Hai Khakstar-e-Parwana-e-Dil
Ishq Ke Daam Mein Phans Kar Ye Riha Hota HaiBarq Girti Hai To Ye Nakhl Hara Hota Hai