Muztarib Rakhta Hai Mera Dil-e-Betab MujheAyn-e-Hasti Hai Tarap Soorat-e-Seemab Mujhe
Mouj Hai Naam Mera, Behar Hai Payab MujheHo Na Zanjeer Kabhi Halqa-e-Gardab Mujhe
Aab Mein Misl-e-Hawa Jata Hai Tousan MeraKhar-e-Mahi Se Na Atka Kabhi Daman Mera
Main Uchalti Hun Kabhi Jazb-e-Mah-e-Kamil SeJosh Mein Sar Ko Patakti Hun Kabhi Sahil Se
Hun Woh Rahru Ke Mohabbat Hai Mujhe Manzil SeKyun Tarapti Hun, Ye Puche Koi Mere Dil Se
Zehmat-e-Tangi-e-Darya Se Garezan Hun MainWusaat-e-Behr Ki Furqat Mein Preshan Hun Main