Main Ne Chaqu Tujh Se Cheena Hai To Chillata Hai TuMehrban Hun Main, Mujhe Na-Mehrban Samjha Hai Tu
Phir Para Roye Ga Ae Nauwarad-e-Aqleem-e-GhumChubh Na Jaye Dekhna! Bareek Hai Nauk-e-Qalam
Ah! Kyun Dukh Dene Wali Shay Se Tujh Ko Pyar HaiKhail Iss Kaghaz Ke Tukre Se, Ye Be-Azaar Hai
Gaind Hai Teri Kahan, Cheeni Ki Billi Hai Kidhar?Woh Zara Sa Janwar Toota Huwa Hai Jis Ka Sar
Tera Aaeena Tha Azad-e-Ghubar-e-ArzuAnkh Khulte Hi Chamak Utha Sharar-e-Arzu
Hath Ki Junbish Mein, Tarz-e-Deed Mein Poshida HaiTeri Soorat Arzu Bhi Teri Nauzaeeda Hai
Zindagaani Hai Teri Azad-e-Qaid-e-ImtiazTeri Ankhon Par Haweda Hai Magar Qudrat Ka Raaz
Jab Kisi Shay Par Bigar Kar Mujh Se, Chillata Hai TuKya Tamasha Hai Raddi Kaghaz Se Mann Jata Hai Tu
Aah! Iss Adat Mein Hum Ahang Hun Main Bhi TeraTu Talawwan Ashna, Main Bhi Talawwan Ashna
Arzi Lazzat Ka Shaidai Hun, Chillata Hun MainJald Aa Jata Hai Gussa, Jald Mann Jata Hun Main
Meri Ankhon Ki Lubha Leta Hai Husn-e-ZahiriKam Nahin Kuch Teri Nadani Se Nadani Meri
Teri Soorat-Gah Giryan-Gah Khandan Main Bhi HunDekhne Ko Naujawan Hun, Tifl-e-Nadan Main Bhi Hun