ترانہء ہندي
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 9 sher · Roman Urdu ke saath
Sare Jahan Se Acha Hindustan HumaraHum Bulbulain Hain Iss Ki, Ye Gulistan Humara
Gharbat Mein Hon Agar Hum, Rehta Hai Dil Watan MeinSamjho Waheen Humain Bhi, Dil Ho Jahan Humara
Parbat Woh Sub Se Uncha, Humsaya Asman KaWoh Santri Humara, Woh Pasban Humara
Godi Mein Khailti Hain Iss Ki Hazaron NadiyanGulshan Hai Jin Ke Dam Se Rashak-e-Jinaan Humara
Ae Aab-e-Rood-e-Ganga! Woh Din Hain Yaad Tujh Ko?Utra Tere Kinare Jab Karwan Humara
Mazhab Nahin Sikhata Apas Mein Bair RakhnaHindi Hain Hum, Watan Hai Hindustan Humara
Yunan-o-Misar-o-Roma Sab Mit Gye Jahan SeAb Tak Magar Hai Baqi Naam-o-Nishan Humara
Kuch Baat Hai Ke Hasti Mitti Nahin HumariSadiyon Raha Hai Dushman Dour-e-Zaman Humara
Iqbal! Koi Mehram Apna Nahin Jahan MeinMaloom Kya Kisi Ko Dard-e-Nihan Humara