رمزِ زندگیRamz E Zindagi

متاع بے بہا ہے درد و سوز آرزو مندی

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath

matā-e-be-bahā hai dard-o-soz-e-ārzūmandīmaqām-e-bandagī de kar na luuñ shān-e-ḳhudāvandī
tire āzād bandoñ kī na ye duniyā na vo duniyāyahāñ marne kī pābandī vahāñ jiine kī pābandī
hijāb iksīr hai āvāra-e-kū-e-mohabbat komirī ātish ko bhaḌkātī hai terī der-paivandī
guzar-auqāt kar letā hai ye koh o bayābāñ meñki shāhīñ ke liye zillat hai kār-e-āshiyāñ-bandī
ye faizān-e-nazar thā yā ki maktab kī karāmat thīsikhā.e kis ne ismā.īl ko ādāb-e-farzandī
ziyārat-gāh-e-ahl-e-azm-o-himmat hai lahad merīki ḳhāk-e-rāh ko maiñ ne batāyā rāz-e-alvandī
mirī mashshātgī kī kyā zarūrat husn-e-ma.anī koki fitrat ḳhud-ba-ḳhud kartī hai laale kī hinā-bandī