Uthi Phir Aaj Woh Poorab Se Kali Kali GhataSiyah Posh Huwa Phir Pahar Sar Ban Ka
Nihan Huwa Jo Rukh-e-Mehr Zair-e-Daman-e-AbarHawaye Sard Bhi Ayi Sawar-e-Tousan-e-Abar
Garaj Ka Shor Nahin Hai, Khamosh Hai Ye GhataAjeeb Mai Kuda-e-Be Kharosh Hai Ye Ghata
Chaman Mein Hukm-e-Nishat-e-Madam Layi HaiQabaye Gul Mein Guhr Tankne Ko Ayi Hai
Jo Phool Mehr Ki Garmi Se Sou Chale The, UtheZameen Ki Gode Mein Jo Par Ke So Rahe The, Uthe
Hawa Ke Zor Se Ubhra, Barha, Urha BadalUthi Woh Aur Ghata, Lo! Baras Para Badal
Ajeeb Khema Hai Kuhsar Ke Nihalon KaYaheen Qayam Ho Wadi Mein Phirne Walon Ka