Ishq Ne Kar Diya Tujhe Zauq-e-Tapish Se AshnaBazm Ko Misl-e-Shama-e-Bazm Hasil-e-Souz-o-Saaz
Shan-e-Karam Pe Hai Madar Ishq-e-Girah Kushaye KaDair-o-Haram Ki Qaid Kya! Jis Ko Woh Be-Niaz De
Soorat-e-Shama Noor Ki Milti Nahin Qaba UseJis Ko Khuda Na Dehr Mein Girya-e-Jaan Gudaz De
Tare Mein Woh, Qamar Mein Woh, Jalwagah-e-Sehar Mein WohChashm-e-Nazara Mein Na Tu Surma-e-Imtiaz De
Ishq Buland Baal Hai Rasm-o-Reh-e-Niaz SeHusn Hai Mast-e-Naz Agar Tu Bhi Jawab-e-Naaz De
Peer-e-Mughan! Farang Ki Mai Ka Nishat Hai AsarIss Mein Woh Kaif-e-Gham Nahin, Mujh Ko To Khana Saaz De
Tujh Ko Khabar Nahin Hai Kya! Bazm-e-Kuhan Badal GyiAb Na Khuda Ke Waste In Ko Mai-e-Majaz De