Zindagaani Hai Meri Misl-e-Rubab-e-KhamoshJis Ki Har Rang Ke Naghmon Se Hai Labraiz Aghosh
Barbat-e-Kon-o-Makan Jis Ki Khamoshi Pe NisarJis Ke Har Taar Mein Hain Saikrhon Naghmon Ke Mazar
Mehsharistan-e-Nawa Ka Hai Ameen Jis Ka SukootAur Minnat Kash-e-Hangama Nahin Jis Ka Sukoot
Aah! Umeed Mohabbat Ki Bar Ayi Na KabhiChot Mizrab Ki Iss Saaz Ne Khayi Na Kabhi
Magar Ati Hai Naseem-e-Chaman-e-Toor KabhiSimat-e-Gurdoon Se Hawaye Nafas-e-Hoor Kabhi
Chair Ahista Se Deti Hai Mera Taar-e-HayatJis Se Hoti Hai Riha Rooh-e-Graftar-e-Hayat
Naghma-e-Yaas Ki Dheemi Si Sada Uthti HaiAshak Ke Qafle Ko Bang-e-Dra Uthti Hai
Jis Tarah Riffat-e-Shabnam Hai Mazaq-e-Ram SeMeri Fitrat Ki Bulandi Hai Nawaye Gham Se