عشر ت امروز
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath
Na Mujh Se Keh Ke Ajal Hai Payam-e-Aysh-o-SuroorNa Khainch Naqsha-e-Kafiat-e-Sharab-e-Tahoor
Firaaq-e-Hoor Mein Ho Gham Se Humkinar Na TuPari Ko Shisha-e-Alfaz Mein Utar Na Tu
Mujhe Fareefta-e-Saqi-e-Jameel Na KarByan-e-Hoor Na Kar, Zikr-e-Salsbeel Na Kar
Maqam-e-Aman Hai Jannat, Mujhe Kalam NahinShabab Ke Liye Mouzun Tera Payam Nahin
Shabab, Aah ! Kahan Tak Umeedwar RaheWoh Aysh, Aysh Nahin, Jis Ka Intizar Rahe
Woh Husn Kya Ke Jo Mouhtaj-e-Chashm-e-Beena HoNamood Ke Liye Minnat Pazeer-e-Farda Ho
Ajeeb Cheez Hai Ehsas Zindagi KaAqeedah ‘Ishrat-e-Amroz’ Hai Jawani Ka