Jalwa-e-Husn Ke Hai Jis Se Tamanna Be-TaabPalta Hai Jise Aghosh-e-Takhiyyul Mein Shabab
Abdi Banta Hai Ye Alam-e-Fani Jis SeAik Afsana-e-Rangeen Hai Jawani Jis Se
Jo Sikhata Hai Humain Sar Ba Gireban HonaManzar-e-Alam-e-Hazir Se Gurezan Hona
Door Ho Jati Hai Adraak Ki Khaami Jis SeAqal Karti Hai Taasar Ki Ghulami Jis Se
Aah! Moujood Bhi Woh Husn Kahin Hai Ke NahinKhatam-e-Dehr Mein Ya Rab Woh Nageen Hai Ke Nahin