رمزِ زندگیRamz E Zindagi

زمانہ ديکھے گا جب مرے دل سے محشر اٹھے گا گفتگو کا

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 13 sher · Roman Urdu ke saath

Zamane Dekhe Ga Jab Mere Dil Se Mehshar Uthe Ga Gutugoo KaMeri Khamoshi Nahin Hai, Goya Mazar Hai Harf-e-Arzoo Ka
Jo Mouj-e-Darya Lagi Ye Kehne, Safar Se Qayem Hai Shan MeriGuhar Ye Bola Sadaf Nasheeni Hai Mujh Ko Saman Aabru Ka
Na Ho Tabiat Hi Jin Ki Qabil, Woh Tarbiat Se Nahin SanwarteHuwa Na Sar Sabz Reh Ke Pani Mein Aks Saru-e-Kinar-e-Joo Ka
Koi Dil Aesa Nazar Na Aya Na Jis Mein Khawabida Ho TamannaElahi Tera Jahan Kya Hai, Nigar Khana Hai Arzoo Ka
Khula Ye Mer Kar Ke Zindagi Apni Thi Tilism-e-Hawas SarapaJise Samajhte The Jism-e-Khaki, Gubar Tha Kooye Arzoo Ka
Agar Koi Shay Nahin Hai Pinhan To Kyun Sarapa Talash Hun MeinNigah Ko Nazzare Ki Tamanna Hai, Dil Ko Soda Hai Justujoo Ka
Chaman Mein Gulcheen Se Ghuncha Kehta Tha, Itna Bedard Kyun Hai InsanTeri Nigahon Mein Hai Tabassum Shakista Ho Na Mere Saboo Ka
Riyaz-e-Hasti Ke Zarre Zaree Se Hai Mohabbat Ka Jalwa PaidaHaqiqat-e-Gul Ko Tu Jo Samajhe To Ye Bhi Pema Hai Rang-o-Bu Ka
Sapas Shart-e-Adab Hai Warna Karam Tera Hai Sitam Se Barh KarZara Sa Ek Dil Diya Hai, Woh Bhi Faraib Khurda Hai Arzoo Ka
Kamal-e-Wahdat Ayan Hai Aesa Ke Nauk-e-Nashtar Se Tu Jo ChaireYaqeen Hai Mujh Ko Gire Rag-e-Gul Se Qatra Insan Ke Lahoo Ka
Gya Hai Taqleed Ka Zamana, Majaz Rakht-e-Safar UthayeHuwi Haqiqat Hi Jab Namayan To Kis Ko Yara Hai Guftugoo Ka